Mobile ko PC me kaise chalaye? Mobile ko computer se connect kaise kare? Android mobile phone ko Computer Laptop par kaise chalaye.
kya aap apne Android phone ki screen ko computer laptop ke screen par show karana chahte hai? kya aap apne phone ko PC se control karna chahte hai ya chalana chahte hai? Agar ha, to aap bilkul sahi jagah par hai. Aaj ke is tutorial me hum janenge ki mobile phone ko computer Laptop se kaise chala sakte hai aur iske sath – sath hum ye bhi janenge ki akhir mobile phone ko computer se connect kar ke hume kya fayda hoga aur aisa kar ke hum kya-kya kar sakte hai.
Aapne youtube par aisi kai sari video tutorial dekhi hongi, jisme computer ki screen par mobile screen bhi show hota hai aur wo (video upload karne wala person) apne mobile me jo kuch bhi karta hai ya aapko batata hai to wo sab unki computer screen par bhi show hota hai. to aise me sawal ye uthta hai ki akhir wo log apne mobile phone ko computer se kaise connect karte hai aur mobile ko computer se kaise chalate hai?
ise bhi padhe:
- Apne Mobile Se Laptop Ya Desktop Ko Fully Control Kaise Kare
- Android Mobile Phone Se Deleted Photo Video Ko Recover Kaise Kare
- Misscall Se Kisi Bhi Bank Account Ka Balance Pata Kare
- WhatsApp Profile Pic Ko Kis Kisne Dekha Kaise Pata Kare
to friends ye sab aap bhi kar sakenge bus iske liye aapko ye post last tak read karna hoga. so chaliye start karte hai-
Android Mobile Ki Screen Ko PC Par Dikhane Ke Liye Kin Kin Cheezo Ki Jarurat Hai
Requirement-
- Android mobile and Desktop/Laptop
- Internet connection (mobile & laptop dono me)
- Airdroid App (mobile)
- Airdroid Software (PC)
- USB Cable – Mobile Aur PC ko ek dusre se connect karne ke liye
Mobile Phone Ko Computer Se Connect Karne Ke Kya Fayde Hai? Mobile Screen Ko PC Laptop Par Kyu Dikhaye?
1- PC aur mobile dono ki screen ko ek sath record kar sakte hai.
2- Mobile phone ka screenshot apne pc se bhi le sakte hai.
3- Agar aap mobile game khelne ke shaukeen hai to fir aap apne mobile ko pc se connect kar ke uspar game khel sakte hai.
4- jab aapka mobile aapke computer se connect ho jata hai to ek tarah se aapka computer hi aapka mobile ban jata hai to is tarah se aap apne mobile ko PC se hi Access kar sakte ho wo bhi bina mobile phone ko touch kiye.
5- Aap apne phone ko Computer Laptop ke mouse & keyboard se chala sakte hai.
6- Laptop aur mobile dono par ek sath kaam kar sakenge aur bar bar mobile uthana nahi padega. Jaise ki facebook, whatsapp par chat kar sakte hai, image, videos dekh sakte hain aur bhi bahut kuch.
to friends ye to kuch fayde hai jo maine aapko bataye. jab aap apne mobile ko PC se Connect kar lenge to aap khud ba khud iski khasiyat ke bare me jaan jayenge.
Ye sab janne ke baad ab aap bhi apne mobile phone ko pc se control karna jarur chahenge. to chaliye jante hai ki kaise hum apne android phone ko pc laptop se connect kar sakte hai.
Mobile Screen Ko PC Par Show Karne Ka Tarika
Step 1- Sabse pahle to aap Airdroid software ko download kar ke apne PC par install kar lijiye jo ki 49 mb ka hai.
Step 2- Airdroid software install karne ke baad sign up click kar ke account bana lijiye aur sign in rahiye.
Step 3- Ab apne Android phone me play store se jakar Airdroid App ko install kariye.
Step 4- Mobile Airdroid App install ho jane ke baad same email id aur password dal kar login ho jaiye jo Aapne PC Airdroid me Sign Up hote waqt dala tha.
Step 5- Ab USB Cable ko apne mobile aur PC se connect kariye aur mobile setting me jakar Developer options me USB DeBugging ko ON kar dijiye.
Note- yadi aapke mobile setting me developer option enable na ho to About phone me jaiye aur Build Number par 6-7 bar click kariye. isse aapke mobile par developer option enable ho jayega. iske baad developer option me jakar USB Debugging ko on kar dijiye.
Step 6- PC Airdroid par aapke mobile phone ka model dikh raha hoga so uspar click kar dijiye.
Step 7- Ab top par aapko 3 option dikh rahe honge- Device, Backup And AirMirror. so AirMirror par click kar dijiye.
Step 8- Connect hone tak wait kariye.
Congrats ! Ab aapke mobile phone ki screen aapke PC screen par show ho rahi hai.
Final Words
I hope ki aapko “Android mobile phone ko Computer Laptop se kaise chalaye” ki ye jankari acchi lagi hogi aur is post me bataye gaye steps ko follow kar ke aapne bhi apne mobile aur computer ko ek dusre se connect kar liya hoga. fir bhi agar aapko koi pareshani ya dikkat aaye to aap hume comment ke jariye bata sakte hai. mai puri kosish karunga ki jald se jald aapke problem ko solve kar saku.
Agar aapko ye jankari acchi lage to ise social media par apne dosto ke sath jarur share kare !
Nice bhai
bhahut bdiya jankari diye hai thank u
Thanx Rudra Ji.. Aise hi humari website par visit karte rahiye
welcome sir apse aek jankri lene tha mere website ki loading speed slow hai and imeges loading bhi slow hai fast karne ke liye kya karoo kuch idea dijiye sir
Aap apni site ko cloudflare me add kariye aur image ko pahle compress kiya kariye fir apni website me add kara kijiye.
sir clodflare me add hai aur imeges ko tinypng se compress bhi karta hu fir slow hai
site ki loading speed slow hone ki kai sari wajah ho sakti hai jaise ki bad hosting, theme ya fir extra plugins.
mai aapko ek website bata raha hu ispar jakar aap site loading speed improve karne ki jankari le sakte ho. website name- supportmeindia.com
बहुत ही उम्दा …. nice article …. ऐसे ही लिखते रहिये और लोगों का मार्गदर्शन करते रहिये। 🙂 🙂
Thanx HindIndia.. meri yahi kosish rahti ki mai zyada se zyada logo ki help kar saku
ok sir thank u your help
thank you for sharing this type useful information with us sir
Welcome and please keep visit Aalisha ji
bahut achhi jankari share ki aapne
meri bahut help ho gayi
Sir mera airdroid me airmirror ka option to a hi nhi rha hai kya kru pls help
Sakshi Ji Airmirror ka option mobile me nahi balki PC/Laptop me show hoga. jab aapka mobile pc se connect ho jayega. aap is post ko ek bar fir se padhiye aur isme bataye gaye steps ko follow kariye. agar fir bhi na ho tab aap mujhe bataiye.
Bhut acha article likha aapne sir vry helpful information.
Nice sir
Kafi achha article likhte ho aap sire isko continue rakhiye
mera bhi blog ke bare me kuch bataite kaisa hai?
Thanx Ranjit. Aapka blog kaafi accha hai aur aapke likhne aur samjhane ka tarika bhi bahut badhiya hai. aise hi regular post karte rahiye.