Agar aapke paas computer ya laptop hai to aaj ke ye post aapke liye hi hai kyu ki is post me hum ek aisa text to speech convertor software banayenge jiski madad se aapka computer wahi bolega jo ki aap type karoge. sabse khaash baat ye hai ki iske liye aapko kisi bhi tarah ka computer programming language seekhne ki jarurat nahi hai, ise koi bhi badi hi asani se kar sakta hai. to chaliye jante hai how to make your computer talk/speak whatever you type.
isse pahle ki mai aapko “computer speak whatever you type program” banane ka tarika batau, aaiye pahle ye jaan lete hain ki akhir iska use (benefit) kya hai.
Benefit of Computer talk/speak whatever you type program
1- English shudhar sakte hain- kuch english word aise hote hai jinhe hum sahi tarike se pronounce nahi kar pate. so is ” computer talk whatever you type” program ki help se aap un words ka uchharan (pronunciation) sun sakte hai aur apni english sudhar sakte hai.
2- Impression badha sakte hain- kisi non technical person ya fir apne dost, rishtedar ke samne aisa kar ke khud ka impression badha sakte hai.
How to Make Your Computer Talk Whatever You Type
Step 1- Sabse pahle ek new Notepad file open kariye.
Step 2- fir neeche diye gaye code ko copy kar ke notepad file me paste kar dijiye.
Dim message, sapi
message=InputBox(“What do you want me to say?”,”Speak to Me”)
Set sapi=CreateObject(“sapi.spvoice”)
sapi.Speak message
Step 3- Ab notepad file ko talk.vbs ke naam se desktop par save kar lijiye. (aap chahe to talk ki jagah koi dusra naam bhi rakh sakte hai but extension me .vbs hi likhna hai.)
Step 4- file save karne ke baad usko close kar dijiye. ab aap dekhenge ki aapke desktop screen par wo file show ho rahi hogi jise aapne abhi save kiya hai.
Step 5- jaise hi aap is file par click karenge aapke samne ek new application open hoga jise aapne script code ki madad se banaya hai.
Step 6- textbox me koi word likh kar ok button press kare. Aapne textbox me jo kuch bhi likha hoga wo aapko sunayi dega.
ye bhi padhe-
- Ghar Baithe Apne Dost or Relative Ka Computer Kaise Chalaye
- Mobile Ko Computer Laptop Se Kaise Chalaye
- Mobile Se Deleted Photo, Video Ko Recover Kaise Kare
- Mobile Se Laptop Ya Desktop Ko Fully Control Kaise Kare
yadi aapko ye article accha laga ho to ise social media me apno dosto ke sath jarur share kare taki wo bhi iske bare me jaan sake aur agar is post me batayi gayi koi bhi baat aapke samajh me na aayi ho neeche comment kare.
Nice post deepak bhai. Thanks for sharing
Thanx Pradeep Bro
nice article very informative
thanx shreyas…. keep visit & support
Great post sir, Thanks for this amazing article…
Nice information sir thanks a lot
Sr Ek Question Hai
Agar Hamara Blog Hindi me hai to uske liye keyword kese Find Kare
@ Shubham
Aap chrome browser me Keyword everywhere extension ka use kariye aur google se bhi idea le sakte hai ki log kya search karte hai. jaise aap google par kuch type karte ho to neeche 4-5 keyword show hote hai jo log search karte hai.