Technology ne har kaam itna Aasan kar diya hai ki pucho hi mat. jaha pahle hum mobile phone me typing ke liye khud ke hath (ungliyon) ko takleef diya karte the to ab voice typing yani ki bol kar hi type kar liya karte hain.
i hope ki aapne bhi apne mobile phone me voice typing (talk to text) ka istemal jarur kiya hoga aur typing bhi ki hogi. kyu ki, bhale hi aapki typing speed kitni bhi fast kyu na ho aap yahi chahoge ki aapka har kaam jald se jald ho aur usme aapko jyada mehnat na karna pade.
Agar mobile phone me voice typing ki baat ki jaaye to iske bare me jyadatar log jante hain lekin bahut kam log hai jo ki Computer par hindi voice typing or english voice typing ke baare me jante hai.
so agar aap bhi unme se ek hain to fir ye post aapke liye perfect hai. kyu ki is post me mai aapko Computer or Laptop par voice typing kaise kare iske baare me bataunga.
Ye Bhi Padhe-
- Ek Computer Ko Dusre Computer Se Kaise Jode
- Mobile Ko Computer Me Kaise Chalaye
- Mobile Se Deleted Photo Video Ko Recover Kaise Kare
- Mobile Se Laptop ya Desktop Ko Fully Control Kaise Kare
Dosto, internet par aapko kae sare online tool mil jayenge jinki madad se aap voice typing kar sakte ho lekin mai yaha par aapko google docs ki madad se voice typing karne ka tareeka bataunga jisse ki aap bina kisi pareshani ke typing se related koi bhi work jaise ki letter,essay, story, blog post (agar aap ek blogger ho to) wagaira likh sakte ho.
Google Docs Ki Help Se Hindi or English Me Voice Typing Kaise Kare
isse pahle ki mai aapko google docs voice typing ke baare me batau Aaiye pahle ye jaan lete hai ki google docs se voice typing ke liye kin-kin cheezo ki jarurat hai-
1- Gmail Account – Aapke paas ek gmail account hona chahiye jisse ki aap google ke tool yani ki google docs ko use kar sako.
2- internet connection – Aapka Computer net se connected rehna chahiye aur internet speed acchi honi chahiye.
3- Chrome Browser – Aapke computer me chrome browser install hona chahiye kyu ki other browser par google docs voice typing ka ye feature kaam nahi karta.
Agar aapke paas ye teeno cheez hai to neeche bataye gaye steps ko follow kariye.
Step 1- Sabse pahle to aap docs.google.com ke link par click kariye. ab aapko yaha par apne gmail account ka email id aur password enter karna hai aur google docs me login ho jana hai.
Step 2- Ab aapke samne google docs ka homepage show hoga jisme aapko Blank par click karna hai.
Step 3- Ab aapke samne ek blank page open hoga jisme aap kuch bhi type kar sakte ho. lekin hume yaha par voice typing karni hai so iske liye Tools menu me jakar Voice typing par click karenge.
Step 4- click karte hi page ke left side me ek microphone ka icon show hoga aur upar language select karne ka option hoga. isme aap hindi or english koi bhi language select kar ke microphone ke icon par click kar dijiye.
Step 5- Ab ek pop-up show hoga jisme aapko microphone ko Allow karna hai.
finally, ab aap bol kar type kar sakte hai. yadi aapne english language select kiya hai to english me bole aur agar hindi language ko select kiya hai to fir hindi me bol kar type kar sakte hai.
upar ke image me aap dekh sakte hai ki maine yaha par hindi voice typing ki hai. thik isi tarah se aap kisi bhi language me bol kar type kar sakte hai.
Important Note-
1- proper and correct voice typing ke liye clear voice me bole aur bolne ki speed slow hi rakhe.
2- voice typing me aapko ye cheez khud karni hoti hai, jaise ki comma lagana, question mark, full stop ya fir line change karna.
to dosto aapko humari ye post hindi or english me voice typing kaise kare ki jankari kaisi lagi ye hume comment ke jariye jarur bataye aur agar is post me batayi gayi koi bhi baat aapke samajh me na aayi ho ya fir bol kar type karne me koi dikkat aaye to humse apni problem comment ke madhyam se share kare.
jankari pasand Aaye to ise social media par jarur share kare!
sir jee please ye btaye ki main apne blog ki template badle bina blog title ko center men kaise la sakta hun mera blog bloger pr hai please replay jarur kren
sunil ji iske baare me aapko wahi insaan acche se bata payega jise coding aati hogi. aap jume deen khan ji se puch sakte ho supportmeindia.com par jakar.
aapne bahut hi helpful informative share ki hai aaj, iski aksar jarurat padti hai lekin pata nahi tha ki ise is tarah se kam me late hai. thanks sir
Bahut hi badhiya info .aise hi likhte rahiye
Thanx Rakesh Ji
Very Good Information
Thanks Umesh Bro
Achhi jankari share ki aapne thanks For This post
Wow bahut hi badiya jaankari share karte ho aap sir ji
Thanx Manish Ji.
Bhut achi post share ki h aapne
Thanku for helping us