Kya aap microsoft par apna account banana chahte hain? Agar ha to ye post aapke liye hi hai. kyu ki is post me mai aapko microsoft account kaise banaye ki puri jankari dene wala hu.
Account banana seekhe usse pahle mai aapse ek question puchna chahunga ki kya aap jante hain ki microsoft bhi hume email service provide karti hai? ji ha friends… Gmail aur Yahoo ki tarah microsoft bhi email ki suvidha pradan karti hai. bus iske liye aapko microsoft ki website par outlook ya hotmail par email id banana hota hai. dekha jaye to microsoft ke aur bhi bahut sare useful services hain jiska labh aap microsoft id create karne ke baad utha sakte hain.
Read Also: Instagram kya hai? Instagram par account kaise banaye
Microsoft platform par account banane se pahle aapke liye ye janna behad jaruri hai ki akhir ispar account kis liye banaya jata hai aur iske kya fayde hai. to chaliye zyada time na lete huye iske bare me jante hai.
Microsoft Account kyu banaye ?
Jaisa ki aap jante hai ki google ki all services (like adsense, google+, drive, analytic etc ) ko use karne ke liye aapko gmail account banana padta hai aur iske baad aap google ki sabhi service ka istemal kar sakte ho. thik usi prakar microsoft ki all services ko use karne ke liye aapko microsoft account banana jaruri hai.
mai yaha par microsoft ki popular service ki list provide kar raha hu jise dekh kar aap ye khud andaja laga sakte ho ki microsoft par account bana lene ke baad aap kitni sari services ka labh utha sakte ho wo bhi free me.
- Skype
- Outlook
- OneDrive
- OneNote
- MSN
- Microsoft Office
- Xbox
- Bing
- etc……
Microsoft ki all services ke bare me janne ke liye iss link par click kare-
https://support.microsoft.com/en-us/allproducts
Yadi aap ek blogger hai aur aur apne blog or website ko Bing/Yahoo webmaster tool me submit karna chahte hai to iske liye bhi aapke paas microsoft account ka hona jaruri hai.
Ab mai ye maan kar chal raha hu ki aap ye acche se samajh gaye honge ki microsoft par account banane ke kya fayde hai. to chaliye ab ye jante hai ki How to Create a Microsoft Account.
Microsoft Account kaise banaye
Microsoft par new account create karne ke liye neeche bataye gaye sabhi steps ko follow kare-
Step 1-
sabse pahle login.live.com par jaye.
Step 2-
Create One par click kare.
Step 3-
Ab aapke samne Microsoft account sign up page show hoga, jisme apni sari details fill karni hai.
neeche diye gaye screenshot ki madad se bhi aap asani se sign up form fill kar sakte hai.
1- First Name and Last Name- yaha par apna naam aur surname likhiye.
2-User name- Apna email id daliye (aap gmail or yahoo id fill kar sakte hai)
username ke neeche aapko Get a new email address ka option dikh raha hoga. ispar click kar ke aap outlook/hotmail email id bana sakte hai.
lekin mere paas pahle se gmail id hai aur mujhe outlook ya hotmail id nahi chahiye so maine yaha par apni gmail id enter ki hai.
Password- apne microsoft account ke liye strong password enter kare.
password example- Abhi@kumar9192, Raj@8957453 etc
Reenter password- same password yaha par enter kare jo aapne password field me enter kiya hai.
Country/region – Apni Country select kare.
Birthdate- Aapki jo bhi Birth Date ho wo select kare.
Gender- Male ya female select kare.
Country code- Apni Country ka code select kijiye. jaise ki India (+91), Pakistan (+92), Nepal (+977) etc.
Phone number- isme apna mobile number daliye.
Enter the characters you see- isme wo captcha code enter kare jo upar show ho raha ho. lekin dhayn rahe ki aapko space nahi dena hai aur capital letters aur small letters par bhi dhyan dena hai.
New- yadi koi captcha code na samajh me aaye to yaha New par click kar ke ek naya captcha code dekh sakte hai.
Audio- Agar Captcha code read karne me koi paresani aa rahi ho to Audio par click kare. isse aapko audio ke through captch code bataye jayega. jisko aapko enter karna hoga.
Sari details sahi sahi fill karne ke baad Create account par click kar dijiye.
Step 4-
Ab aapko apna email address verify karna hai jo ki aapne sign up page me dala tha.
jis email id ko aapne sign up page me dala tha uss email id ko login kariye aur inbox check kariye jisme microsoft ki taraf se aapko mail aya hoga. usko open kariye aur verify button par click kar dijiye.
Step 5-
veify par click karte hi aapke samne ek new window Ready to go! open hogi jisme email id verify karne ke liye thanks likha hoga. aapko OK par click karna hai
Congrats ! ab aapne sare steps complete kar liye hai aur aapka microsoft account create ho chuka hai.
yadi aap apne microsoft account me enter ho chahte hai to microsoft sign in ke liye browser me ye link login.live.com open kare.
microsoft email id daliye aur Next par click kare.
Ab aapko apna password enter karna hai. password enter karne ke baad Sign in par click kar dijiye.
to is tarah se aap apne microsoft account me sign in ho chuke hai.
I hope ki aapko ye samajh me aa gaya hoga ki microsoft account kaise banate hain. Agar fir bhi account create karne me koi problem aaye to aap neeche comment section me hume comment kar ke bata sakte hain.
Agar ye post aapke kaam aayi ho aur aur thodi bhi helpful lage to ise social media par apne dosto ke sath jarur share kare.
wah bhai kya bat hai
Bahut hi badhiya post aapne kafi achhi jankari ko share kiya hain Thanks
Hello SR
Ek Question Tha
Actually SR meri site hai jisye mene google busniess pr list kr rakha hai
lakin wha mere review show nahi hote me kya karo
Help
Sorry Shubham Ji Mai iske Baare Me Kuch Bhi Nahi Bata Paunga. Aap Ye Question Support Me India Forum Me Puch Sakte Hai. I Think Ki Waha Iska Jawab Mil Jaye.
thanks for sharing microsoft account information.
Bhut achha sikhaya apne. Thanks bro
आपने microsoft account बनाने की पूरी process ही बता दिया । और साथ ही microsoft की service के बारे में भी बताया । बहुत अच्छा लगा पढ़कर ।।
Thanx for your valuable comment ajay kumar ji.
Tnx sir. Bahut achchhi jankari di. Bing m site submit karne ke liye Microsoft account jaruri h n sir ?
Yes Mahi ji.
You are doing a great job I inspired when I was reading your post. I am regular reader of this website.
Thank you for sharing this useful information….
Thanx Gaurab Das ji
Bahut hi achhi post kafi achhi jankari aapne share kiya hain Thanks.