Aapne Youtube par aisi kai videos dekhi hongi (mostly news video) jisme video ka voice kuch alag lagta hai. matlab ki jab aap us video ko dekh- sun rahe hote ho to usme jo bola ya bataya jata hai wo kisi human being ki Aawaj nahi lagti balki kisi Robot ki Aawaj lagti hai.
tab aap ye jarur sochte honge ki akhir is video ki voice alag kaise hai aur is video ko kaise banaya gaya hoga. to mai aapko batana chahunga ki aisi videos text to speech converter software or website ke through banayi jati hai.
wo kaise?
ye janne se pahle aap neeche diye gaye link par click kar ke is video ko dekhiye aur iske voice par thoda gaur kariye.
Voice kuch alag laga?
yes?
to friends jaisa ki mai aapko pahle hi bata chuka hu ki in videos me jo voice use kari jati hai wo text to speech converter ki help se banayi jati hai aur Editing kar voice ko video/image me merge kar ke youtube par upload kar diya jata hai.
is post me mai aapko yahi batane wala hu ki kisi text ko voice me convert kaise karte hai aur iske sath-sath hum iske kuch fayde bhi janenge.
Post Overview
Text to Speech Convert Kaise Kare
Agar aap internet par text to speech converter likh kar search karte hai to aapke samne kai sare result show honge. jinme se kuch hi aisi website hai jo ki sahi se work karti hai.
is post ko likhne se pahle maine baaki ki sabhi tools ko check kiya but jo mujhe sabse zyada accha laga wo hai IndiaDict Text to Speech Converter. so, is post me hum isi tool ki help se text ko voice me convert karne ka tarika janenge.
Indiadict Text to Speech Converter Kya Hai?
ye ek most popular online tool hai jo ki text ko voice me convert karne ka kaam karta hai aur iski sabse khaas baat ye hai ki is tool ka use aap free me kar sakte ho. matlab ki iske liye aapko kuch bhi pay karne ki jarurat nahi hai aur na hi isko download karne ki jarurat hai. aap Indiadict ki website par jakar online kisi bhi text ko audio me convert kar sakte ho.
chaliye ab zyada time na lete huye apne main topic par aate hai aur jante hai ki text ko Aawaj me kaise badle.
Kisi Text Ko Voice Me Change Kaise Kare? Text Ko Ladki Ki Aawaj Me Kaise Badle
Step 1- Sabse pahle to aap neeche diye gaye link par click kar ke Indiadict ki website ko open kare.
www.indiadict.com/web/text-to-speech.html
Step 2- Ab aapke samne kuch is tarah ka interface show hoga. yaha par aapko us text ko copy kar ke paste karna hai jise aap voice me convert karna chahte ho. (aap khud se bhi type kar sakte ho)
1- Text ko paste kariye ya fir type kariye. (Aap Hindi, English Kuch Bhi Likh Sakte Ho)
2- Jis bhi language me aap audio file banana chahte hai wo language select kariye.
3- Normal speed me audio file sunne ke liye yaha par Normal select kariye.
4- Sari setting complete karne ke baad Convert par click kar dijiye.
Step 3- Convert par click karte hi aapke dwara paste kiya gaya text kuch hi second me voice/audio me convert ho jayega jise aap Download button par click kar ke download kar sakte hai.
Step 4- Ab aapki file download ho chuki hai jise aap open kar ke sun sakte hai.
Text to Speech Convert Karne Ke Fayde
1- Youtuber is tool ka istemal sabse zyada karte hai. wo text to speech converter se apne dwara likhi gayi baat ko audio form me convert kar usme image or video editing karte hai aur apne youtube channel par us video ko upload kar ke accha khasa paisa bhi kama rahe hai.
2- Students apne notes ko audio me convert kar ke phone me save kar sakte hai aur jarurat padne par use sun sakte hai.
3- kisi word ya paragraph ka pronunciation sun kar apni english improve kar sakte hai.
4- kisi roothe huye ko audio msg kar ke usko mana sakte hai kyu ki jo kaam aapke dwara send kiye gaye dher sare message nahi kar sakte shayad wo ek text to speech audio send karne se ho jaye. 😛
5- Agar aap koi news padhna nahi chahte balki use sunna chahte hai to aap news ko copy kar ke Indiadict text to voice converter par paste kar usko audio or Mp3 file me sun sakte hai.
6- Aise log jo bol nahi sakte unke liye bhi ye ek useful tool hai. wo apni baat dusro tak audio form me rakh sakte hai.
7- ye baat to aap bhi mante honge ki jab hum koi song sunte hai to wo hume bahut zaldi yaad ho jata hai lekin 4-5 line ka paragraph yaad karne me hume kaafi time lagta hai. so is tool ki help se aap apne notes ko voice me convert kar ke usko sun sakte ho.. jo ki aapko jaldi yaad ho sakta hai. kyu ki kisi cheez ko ratne ki bajaiye agar use suna jaye to wo hume badi zaldi yaad ho jata hai.
kai sare log aise hote hai jo ki youtuber banna chahte hai lekin hesitation ke chalte youtube par nahi aa paate. unko ye lagta hai ki unki voice logo ko pasand nahi aayegi aur wo baaki youtubers ki tarah fluently nahi bol payenge. is case me bhi text to audio converter unke liye kaafi useful sabit ho sakta hai.
Agar aapko ye post accha lage to ise social media par jarur share kare !
वाह भाई में ऐसा tricks ही खोज कर रहा था so मिल गया थैंक्स👍👍
Wow sir ji aapne kaphi acchhi knowledge share ki hai aapne yah hamare kam aa sakta hai iske liye
dhanybad
sir esa koi software hai jiski help se ham real girl jaisa voice bana sake
Sorry Dhaval ji … Meri Nazar me aisa koi software nahi hai jisse aap real girl ke jaisa voice create kar sako.
Kafi achchi trick hai, thanks fore share,
Bahut hi achhi jankari aapne share kiya hain Thanks.
good keep it up
Nyc post sir….bahut achi knowledge apne share ki h
Sir meri site pr traffic bahut km h daily 20 views a rahe hai aap plzzz batiye kaise traffic increase hoga……plz guide me sir
Hina Ji Aapki Site Abhi New Hai So Abhi Aapko Continue Post Karte Rehna Hoga. Jaise Jaise Aapki Site purani hoti jayegi aapki site ki Authority improve hogi aur aapke post search engine me rank karne lagenge aur aapki traffic increase ho jayegi.
ye to kaafi interesting hai.
Time paas karne ke liye achchhi trick batayi.thanks
aapne bahut achi jankari di hai
Thanx Dilip Ji
good post, thanks sir
Bahut kamal ka tips bataya apne bhai
thanx bro
Bahut acchi Jankari hai or Helpful bhi. Thanks For Shering Good Information with